Get On Mobile Fundoo :Java Games, Mobile Themes, wallpapers, Nokia Games, Polyphonic ringtones, Mobile ringtones, Mobile,Sofwtares, Themes,SMS messages

 



SMS Poems Messages


Aap apnay qareeb aanay nahin daitay :-

Aap apnay qareeb aanay nahin daitay,
Khud ko seenay say laganay nahin daitay,

Dil aap ki yaad main tarapta bhi bohut hay,
magar aap hamain aanso bahanay nahin daitay,

aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil,
Rooth’tay hain to phir mananay nahin daitay.


Ye to nishani hai kisi ke pyaar ki :-

Maat roko iss behte dard ko,
Saza hai ye kisi ke intzar ki,

Keh lo inhe ashk ya diwangi,
Ye to nishani hai kisi ke pyaar ki.


Sath chalne ke liye sathi chahiye :-

Sath chalne ke liye sathi chahiye,
Aansu rokne ke liye muskan chahiye,

Zinda rehne ke liye zindagi chahiye,
Aur zindagi jine ke liye aap chahiya.


Ye dil na jaane kya kar baitha :-

Ye dil na jaane kya kar baitha.
Mujhse puche bina hi faisla kar baitha.

Iss zameen par toota sitara to nahi girta.
Aur ye pagal chand se dosti kar baitha.


uske labhon pe mera naam to aaya:-

Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya
Khali hi sahi hathon mein jam to aaya

Mein hoon bewafa sabko betaya usne
Yun hi sahi, uske labhon pe mera naam to aaya.


Kisi na kisipe aitbar ho jata hai :-

Kisi na kisipe aitbar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,

Khubiyo se nhi hoti mohabat hamesha,
Khamiyo se b aksar pyarho jata hai.



Meray sms padh k yaad to karte honge :-

Raat ko pocha mujse chand sitaro ne
tumko bhula diya tere jigri yaro ne.

Maine kaha k bhule nhi hai faryad to karte honge,
mera sms padh k yaad to karte honge.


Jab Aapka Naam Zaban Par Aata Hai :-

Jab Aapka Naam Zaban Par Aata Hai,
Pata Nahi Dil Kyo Muskurata Hai.

Tasalli Hoti Hai Mann Ko Koi To Hai Apna
Jo Haste Hue har waqt Yaad Aata Hai.


Socha yaad na kar k thora tadpaye unko :-

Socha yaad na kar k thora tadpaye unko,
kisi aur ka naam ley kar jalayain unko.

Par koi chot unko lagi to dard hame hoga,
ab koi ye bataye k kis tarah satayein unko.



U to hum bhi madad kia nahi karte :-

U to hum bhi madad kia nahi karte,
Choclate kya toffy bhi dia nahi karte.

Ye DOSTI sirf apse hai warna msg to kya
hum kisi ko number bhi dia nahi karte.


Khuda kisi ko kisi pey fidaa na kare :-

Khuda kisi ko kisi pey fidaa na kare,
Kare to qayamat tak judaa na kare.

Ye maana ki koi marta nahi judaai mein,
Lekin jee bhi to nahi paata tanhaai mein!


Tumse dur rehkar tumhe miss kiya humne :-

Tumse dur rehkar tumhe miss kiya humne,
Tumhare liye “God” se wish kiya humne,

Tumhari yaad chupke se chali aayi toh,
Toh bade pyaar se SmS kiya humne.



Mujhe muskurane ki dua na do :-

Mujhe dard-e-dil ki intehaa maloom hai,
Mujhe dard-e-ishq ki saza maloom hai,

Mujhe muskurane ki dua na do…
Mujhe pal bhar muskurane ki saza maloom hai.


Us ajnabi ka yun na intzaar karo :-

Us ajnabi ka yun na intzaar karo,
Is aashiq dil ka na aitbaar karo,

Roj nikla kare kisi ki yaad me ansu,
Itna kabhi kisi se na pyaar karo


Tu zindagi main sabse azeez hai hamain :-

Tere Bina hum jeena bhool jaate hain…
Zakhmon ko seena bhool jate hain..

Tu zindagi main sabse azeez hai hamain..
Tujhse har bar yeh kehna bhool jaate hain.


Main jo POOCHO tumhara HAAL-e-DIL :-

Apni KHAMOSH zindagi main bolana mujhko,
Apni HASEEN khuwab ki TASVEER banana mujhko,

Main jo POCHON tumhara HAAL-e-DIL,
To apni har DHARKAN ki AWAZ sunana mujhko.



Nigah dor talak ja kar laut aye gi..:-

Karo ge yaad to har baat yaad aye gi,
Guzartey waqt ki har mulaqat yad aye gi,

Talash karo ge hum se behtar dost koi,
Nigah dor talak ja kar laut aye gi..


Per dost to hamesha dil k qarib rahenge :-

Din beet jatey hain suhani yadain ban kar,
Batein reh jati hain kahani ban kar,

Per dost to hamesha dil k qarib rahenge,
Kabhi muskan to kabhi ankhon main pani ban ker..


Phool ki shuruvat kali se hoti hai :-

Phool ki shuruvat kali se hoti hai,
Zindagi ki shuruvat pyar se hoti hai,
Pyar ki shuruvat apno se hoti hai aur
apno ki shuruvat aapse hoti hai.
* Happy Diwali *


Aap kion udaas baithay ho :-

Wadiyon se soraj nikal aaya hai,
Fizaon me naya rang chaya hai,

Aap kion udaas baithay ho,
ab to muskura do, hamara SMS aaya hai


Milnay ka waqt maat nikalo par :-

Har waqt kaam mein itne na ulajh jaya karo,
Kabhi hamari yaad ko bhi dil mein laya karo,

Milnay ka waqt maat nikalo par,
Kabhi apne sms ki awaz to sunaya karo.


Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo :-

Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,

Sitam karna hai karo par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo….

Dil ka dard dil torrne waley kiya jaaney:-

Dil ka dard dil torrne waley kiya jaaney,
Pyar ke rivajon ko zamana kiya jaaney,

Hoti hai kitni takleef larrki ko pataney main,
Ye ghar pe baitha larki ka baap kiya jaaney.



Hai tu agar mera dilbar :-

Hai tu agar mera dilbar,
Hai tu agar mera dilbar,
To aaj ke lunch ka bill tu bhar.









© Copyright 2007, mobilefundoo.com. All Rights Reserved.